Friday, July 25, 2008

Naadan Tha main

One more from the Jugalbandi of me n my friend Roop

Dil ki zameen par main naam kisi ka likh baitha...
anjaane mein kisi k khwaabon mein kho baitha...
kisi se kya shikwa karein,nadaan to main tha,
jo bina dil waalon se dil lagaa baitha...
kadar na ki mere pyaar ki unhon ne...
Jo bin bole hi ruswa hume kar diya...
Tute hue dil meine in zakhamon ko bhar liya..
maine pucha kyun toda tune wadaa mera...
toh has keh gaye,bas nibhaaya na gaya...
zalim ne dil bhi usi waqt toda...
jab dil unke pyar ka gulam ho gaya...
jo mera tha sab unke pyar main nilaam ho gaya..
Khoob roya tha main unki yaadon main...
kosta tha main apne aap ko aur apni nadani ko...
Jo kisi ke apnepan ko pyar smajh baitha...

No comments: